Saturday, 18 June 2011

Ghar Se Nikle

Ghar Se Nikle To Ho, Socho Kidhar Jaoge
Har Taraf Tez Hawayein Hain Bikhar Jaoge
Itna Aasan Nahi Lafzon Pe Bharosha Karna
Ghar Ki Dehleez Pukaregi Jidhar Jaoge
Sham Hote Hi Simat Jayenge Saare Raastey
Behte Dariya Mein Jahan Honge, Thaher Jaoge
Har Naye Shehr Mein Kuch Raate Kadi Hoti Hain
Chat Se Deeware Juda Hongi To Dar Jaoge
Pehle Har Cheez Nazar Aayegi Bemani Si
Aur Phir Apni Hi Nazar Se Utar Jaoge
- Nida Fazli

No comments:

Post a Comment